Saturday 3 January 2015

Dil jo Dhadakta hai bas tere naam ka

Ek Chhoti si kahani jo sonchne pe kare majbur……..

Wo din mai nahi bhul pata hun, jab tum us din bus station pe bus ka intajar kar rahi thi. Pata nahi kya jaldi thi tumhen, kuchh harbari si, ghabrayi si nazron se us or dekh rahi thi jis taraf se bus aane wali thi. Tumhari wo shadgi bhari nazron se, ghabraye hue bus ka taktaki lagaye dekhte hue mera bhi man bechain ho utha aur mai sonchne laga ki puchh hi dun tumko ki aakhir kiska intajar hai tumhen.

Lekin kya karta majbur tha apne dil se jo tumhare lahrate hue julf ko dekh ke, tumhare bhige hue chamakte hoth ko dekhke, tumhari aankhen jo surma men sajaye rakha tha use dekh ke, bar bar tum jo apne lat ko hatati thi jo tumhare gallon pe pad raha tha use dekh ke, tum jo kabhi kabhi mujhe bhi dekh lia karti thi use dekh ke, tum jo qayamat si lag rahi thi pink color ke suite men use dekh ke jor jor se dhadak raha tha.

Kuchh hi pal men mujhe ye ehsas hone laga tha ki shayad kahin na kahin mera dil tumhen chahne laga hai. Log sahi kahte hain ki pyar kuchh pal men bhi ho sakta hai, ye shabd sach nazar aa raha tha. Mujhe sach men tumse pyar ho gaya tha chand lamhon men hi.

Mai kabhi kabhi aisa socnhne laga tha ki kash mai ye samajh pata kisi bhi tarah ki kya mai tumhen pasand hun, ya tumhen kis tarah ka hamsafar chahiye tumhare zindgi ke lie. Magar is gundhun men tha ki mere ye puchhne se tum naraj to nahi ho jaogi, aur mai nahi chahta tha ki jisse mujhe payar hua hai khaskar ke pahli bar meri zindgi men wo mere kisi baton pe naraj ho jaye.

Mere pas Khuda ke karam se kisi chij ki kami nahi thi, jitni men zindgi ache se bit sakti thi utni thi mere pas lekin sari umra pyar ke lie tarasta raha. Mai kisi ki juban se pyar se mera naam pyar se lete hue sunna chahta tha. Is duniya men mera koi nahi tha siwaye ek ummid ke ki koi hogi meri zindgi men jo mujhe pyar karegi. Bachpan men kisi pandit ne mujhe kah diya tha ki beta tumko tumhara pahla pyar nahi milega. Maine us pandit se shart laga li, agar mujhe pahla pyar nahi milega to mai uske bad kabhi bhi kisi aur se pyar nahi karunga, kisi aur ki or mudke bhi nahi dekhunga.

Lekin tumhen aaj dekh ke aisa lag raha tha ki meri zindgi mujhe mil gayi hai. Us pandit ka prediction galat ho jayega. Mere andheri zindgi ko koi hogi jo ujala karegi. Ab mai bhi chand ko dekh ke bolunga, dekh mere pas jo chand hai wo tumse bahut jyada khubsurat hai. Meri zindgi hasin ho jaegi, mai bhi ab khilkhilaunga jor jor se, mai ab so paunga kisi ke bahon men chain se, mere bhi muskurake kahenge dekh tera waqt a baa gaya hai.

Sach, mere se jyada is duniyan men koi itna pyar kisi se nahi kiya hoga na hi karega, aisa mera dil tujhe bolna chahta tha.

Magar wo lamha aaj bhi mere sine men dard se bhar deta hai jab bhi yad karta hun. Ek bus jo bahut tej se aa rahi thi ham logo ke taraf. Wo ruki nahi aur tumhen apne sath ghasitte hue leke aage jake palat gayi. Bus ko palatte dekh mai ghabra sa gaya aur us or bhaga, jab wahan panhuncha to dekha tum khun se sara bor thi, tumhare aankh khule hue the, hath dono or bikhre pade the. Is hal men tumhen dekhke mera rona-chillana jari ho gaya. Sab dekh ke yahi sonch rahe the ki ye iski wife hai. Sab mere pas aake santawna de rahe the. Mujhe shabr rakhne ko bol rahe the.

Tumhari lash ko leke mai wahan ke najdik wale kabrishtan men dafan kiya. Aur do din tak wahin baithe rota tha. Fir kabrishtan ke jo dekh rekh karne wale hote hain, unhone hamen wahan samjhaya ki jitna tum rowoge utna usko kabr men azaab milega. Ye sunte hi mai chup hua, kyunki mai tumhare aankhon men ek bund aansu nahi dekh sakta tha, azaab to dur ki bat thi.

Un logo ke samjhane pe mai apne ghar to aa gaya lekin us pandit ji ki baton ko yad karne laga tha ki kya sach men koi aane wali zindgi ki bare men jan sakta hai? Mujhe tumhare bare men kuchh nahi pata tha ki tum kaun thi, kahan se aai thi, kahan ja rahi thi, kyun tum bechain thi lekin is sab ke bawajud mujhe tumse be-intaha pyar ho gaya tha aur aisa lag raha tha ki mai tumse sadiyon se pyar karta hun.

Aaj meri umra 92 sal hai aur mai bhi apni zindgi ke antim chhod pe hun. Mere sath koi nahi hai jo mere sath rahe aur mere sar pe hath rakhe aur mujhe is zindgi se pyar se rukhsat kare. Mai sari umra bas tumhen aur tumhare chehron ko yad karke jita raha aur kab ye zindgi tumhen sonchne men hi khtam ho gayi pata nahi chala. Mai yaad karta hun bahut tumko. Dua karo ki mai tumhare pas jitna jald ho, aa jaun. Wahan fir sari baten tumse puchhunga jo kuchh bhi mera dil tumse puchhna chahta tha.

Missing……………………………



No comments:

Post a Comment